Mohit-Trendster

Aaj phir us dar se lautna hua... - मोहित शर्मा (ज़हन)

Dec 23rd, 2014
233
0
Never
Not a member of Pastebin yet? Sign Up, it unlocks many cool features!
text 2.92 KB | None | 0 0
  1. Aaj phir us dar se lautna hua… (Mohit Trendster, 23 December 2014)
  2.  
  3. Aaj phir us dar se lautna hua….
  4. Ek Raah mujrim tang thi,
  5. Do musafiron ka saath chalna hua,
  6. Ek pyaar betarteeb yun…
  7. Kitne shikven aur ek muflis shukriya,
  8. Aaj phir us dar se Lautna hua !
  9.  
  10. Koshish rahegi umr bhar,
  11. Ek naam par nikle dua…
  12. Jin kamro mey Tanhaai thi,
  13. Wahin yaadon se milna hua..
  14. Aaj phir us dar se lautna hua !
  15.  
  16. Jo vaayda aankhon mey hua,
  17. Veeranon mein Armaano ka majma laga
  18. Parda naa hone ka malaal unhe,
  19. Jab shafaaq-O-shabhnam thi darmiyaa,
  20. Aaj phir us dar se lautna hua !
  21.  
  22. Khudgarz kab patjhad laga,
  23. Saawan kasam dene laga…
  24. Ek khwaab dil ke kareeb tha,
  25. Khwaishon mein jo shaheed hua…
  26. Tab himmat se haara karte the…
  27. Ab kismet se haare jua…
  28. Aaj phir us dar se lautna hua !
  29.  
  30. Jiske shafugta hone par jashn tha,
  31. Jaane kahan wo gum hua,
  32. Jinse rooh wabasta thi,
  33. Kis mod wo Tanha hua,
  34. Aaj phir us dar se lautna hua….
  35.  
  36. -------X------X-----X-----X----X----X----X-------
  37.  
  38. आज फिर उस दर से लौटना हुआ…
  39.  
  40. आज फिर उस दर से लौटना हुआ…
  41. एक राह मुज़रिम तंग थी,
  42. 2 मुसाफिरों का साथ चलना हुआ,
  43. एक प्यार बेतरतीब यूँ…
  44. कितने शिक़वे और एक मुफ़लिस शुक्रिया,
  45. आज फिर उस दर से लौटना हुआ…
  46.  
  47. कोशिश रहेगी उम्र भर,
  48. एक नाम पर निकले दुआ,
  49. जिन कमरो में तन्हाई थी,
  50. वहीं यादों से मिलना हुआ,
  51. आज फिर उस दर से लौटना हुआ….
  52.  
  53. जो वायदा आँखों में हुआ,
  54. वीरानों में अरमानों का मजमा लगा,
  55. पर्दा ना होने का मलाल उन्हें,
  56. जब शफ़ाक़ ओ शभनम दरमियाँ…
  57. आज फिर उस दर से लौटना हुआ…
  58.  
  59. खुदगर्ज़ कब पतझड़ लगा,
  60. सावन कसम देने लगा,
  61. एक ख्वाब दिल के करीब था,
  62. ख्वाइशों में जो शहीद हुआ…
  63. तब हिम्मत से हारा करते थे,
  64. अब किस्मत से हारे जुआ…
  65. आज फिर उस दर से लौटना हुआ…
  66.  
  67. जिसके शगुफ़्ता होने पर जश्न था,
  68. जाने कहाँ वो गुम हुआ,
  69. जिनसे रूह वाबस्ता थी,
  70. किस मोड़ वो तन्हा हुआ?
  71. आज फिर उस दर से लौटना हुआ….
  72.  
  73. - मोहित शर्मा (ज़हन)
  74.  
  75. #mohitness #trendster #trendybaba #freelancetalents
Advertisement
Add Comment
Please, Sign In to add comment